
naara tha ke haan aey sipah’e Sha’m, khabardaar
Abbas e dilaawar hai mera naam, khabardaar
hai qahr’e ilaahi meri samsaam, khabardaarnaizah hai mera maut ka paighaam, khabardaar
maiN lakhT e jigar saaheb’e shamsheer’e do-sar hooN
hoshyaar ke maiN sheir e ilaahi ka pisar hooN
farma ke yeh li teigh, bahaadur ne miyaaN se
ghoaRe ko jo cheiRa, na ruka laakh jawaan se
hAr waar meiN sAr girn’e lagey barg e khizaaN se
chaln’e mein ziyaada thi rawaaN, aab’e rawaaN sejis par paRi, naazil hua qahr uss pa raza ka
thi teigh ki zarbat ke tamaaNcha tha qaza kahangaam e wegha bAnd thi rah amn o amaaN ki
jaaN choaRti thi na woh kisi, peer o jawaan ki
humdum thi yadullah ki teigh e do zabaaN ki
thi qatey umid uss se hAr ek dushman e jaan kihAr fArd...