YA ABA SALEH AL MAHDI ADRIKNI
Shabe taare
Kabhi ai haqeeqat e muntazar
Nazar aa libaas e majaaz
Ki hazaro sajde tadap rahe
Hai meri jabeen e niyaz mein
Shabe tare Bekarare
Dil k chaar nadaare…….
Ae masiha e jahan
Waris o mukhtar e haram
Ae mere barwe mola
Teri azmat ki qasam
Jis tarha hai Mujhe allah k hone ka yaqeen
Is tarhan hai teri ghaibat pe yaqeen e mohqam
Apni har saans mujhe lagti hai khanjar ki tarha
Hijr e malik mai hu betaab mai nokar ki tarha
Lamha lamha mere sarkaar teri aamad ka
Muntazir rehta hu shabbir k mimbar ki tarha
Jab kahin roshni paigham e sahar laati hai
Khud ba khud khaana e kaaba pe nazar jaati hai
Jab nazar aata nahi hai tera jalwa mola
Ho k maayoos nazar meri palat jaati hai
Lazzate hijr tere wasl ka aaina hai
Teri furqat ka mere dil mein aza khaana hai
Mere is baat ki bohlol gawahi denge
Jo bhi deewana hai wo tera bada daana hai
Intezaare Ali akbar se jahan mein guzri
Apne bhai se bichad kar jo kabhi mil na saki
Aap ko waasta hai mola usi sughra ka
K ruk jaae na saa’nse meri
Jab kabhi ghaib se Rehan Imam aaenge
Saath Abbas e dilawar ka Alam laaenge
Beridaee ki jo Zainab ki wo Badla lenge
Ashk Sajjad ki Aankhon k bhi tham Jaaenge
-Shahid Husain Baltistani & Rehan Azmi
0 comments:
Post a Comment